tumhaari rah mein mitti ke ghar nahin aate isi liye to tumhein hum nazar nahin aate mohabbaton ke dinon ki yahi kharabi hai ye ruth jaen to phir laut kar nahin aate jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna bure zamane kabhi puchh kar nahin aate bisat-e-ishq pe badhna kise nahin aata ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate 'wasim' zehn banate hain to wahi akhbar jo le ke ek bhi achchhi khabar nahin aate