tumne bimar-e-mohabbat ko abhi kya dekha

tum ne bimar-e-mohabbat ko abhi kya dekha
jo ye kahte hue jate ho ki dekha dekha

tifl-e-dil ko mere kya jaane lagi kis ki nazar
main ne kambakht ko do din bhi na achchha dekha

le gaya tha taraf-e-gor-e-ghariban dil-e-zar
kya kahen tum se jo kuchh wan ka tamasha dekha

wo jo the raunaq-e-abaadi-e-gulzar-e-jahan
sar se pa tak unhen khak-e-rah-e-sahra dekha

kal talak mahfil-e-ishrat mein jo the sadr-nashin
qabr mein aaj unhen be-kas-o-tanha dekha

bas-ki nairangi-e-alam pe use hairat thi
aaina khak-e-sikandar ko sarapa dekha

sar-e-jamshed ke kase mein bhari thi hasrat
yas ko moatakif-e-turbat-e-dara dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close