udas baam hai dar katne ko aata hai tere baghair ye ghar katne ko aata hai khayal-e-mausam-e-gul bhi nahin sitamgar ko bahaar mein bhi shajar katne ko aata hai faqih-e-shahr se insaf kaun mangega faqih-e-shahr to sar katne ko aata hai isi liye to kisanon ne khet chhod diye ki koi aur samar katne ko aata hai tere khayal ka aahu kahin bhi din mein rahe magar wo raat idhar katne ko aata hai kaha to tha ki hamein is qadar bhi dhil na de ab ud rahe hain to par katne ko aata hai ye kaam karte the pahle sagan-e-awara bashar ko aaj bashar katne ka aata hai ye us ki rah nahin hai magar yunhi 'baqi' wo mere sath safar katne ko aata hai