ujde nagar mein sham kabhi kar liya karen mujh se dua salam kabhi kar liya karen jangal ke phul hi sahi lekin hain kaam ke sath un ke bhi qayam kabhi kar liya karen har rah saf sidhi nahin pur-khatar bhi hai suraj chhupe to sham kabhi kar liya karen mausam hai khush-gawar to shakhen bhi sar pe hain un ka bhi ehtiram kabhi kar liya karen katta hai waqt kaise kisi ko giraya jae kuchh kaam ka bhi kaam kabhi kar liya karen shirkat tamam dawaton mein lazmi nahin lekin kahin to nam kabhi kar liya karen ye sach hai aage pichhe 'shafaq' dost hi to hain talwar be-niyam kabhi kar liya karen