umr ke lambe safar se tajraba aisa mila

umr ke lambe safar se tajraba aisa mila
dhup jab bhi sar pe aai lapata saya mila

dekhna hai aks mujh ko apna pura hi magar
jab mila wo aaina mujh ko zara tuta mila

hanste chehron ki kahani jaanti hun khub main
jis ko bhi parkha wahi tuta mila bikhra mila

jal rahe the panw ek muddat se rahat ke liye
jis taraf bhi main gai tapta hua sahra mila

raat din manga dua jis ham-safar ke waste
mere jite-ji wo mera marsiya padhta mila

ye safar main ne akele hi kiya hai 'chandni'
ham-safar mujh ko kahan koi mere jaisa mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close