uqab dil ho to sara jahan ek sa hai

uqab dil ho to sara jahan ek sa hai
zamin koi bhi ho aasman ek sa hai

koi thikana watan ka badal nahin hota
muhajiron ke liye har makan ek sa hai

tayyunat-e-ilaqa briadri firqe
sipah-e-jahl kahin ho nishan ek sa hai

wo koi sahab-e-jagir ho ki mulla ho
magar hamare liye qahrman ek sa hai

nigah masnad-e-ala pe roz-e-awwal se
dayar-e-yar ka har pasban ek sa hai

panah daman-e-qanun mein na masjid mein
hamare shahr mein har saeban ek sa hai

hamari aankh ka tara wo ho nahin sakta
tamam bazm pe jo mehrban ek sa hai

faluja-o-najaf-o-karbala se pahle wo
samajh rahe the ki har be-zaban ek sa hai

hazar bar bhi lut kar sabaq nahin sikha
wafa ke shahr mein har khush-guman ek sa hai

jihad-e-saif ho 'khalid' ki ho jihad-e-qalam
kisi zaban mein ho imtihan ek sa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close