uruj auron ko kuchh din hai ahrman ki tarah farogh kis ko hai rindon ke bankpan ki tarah mera khayal nahin hai to aur kya hoga guzar gaya tere mathe se jo shikan ki tarah ye sar-zamin-e-gul-o-lala so bhi jati hai libaada barf ka odhe hue kafan ki tarah kabhi to guzrunga is rahguzar se ho kar khud apni tak mein baitha hun rahzan ki tarah khizan ka khauf mujhe khae ja raha hai 'kamal' chinar surkh na hon aatish-e-sukhan ki tarah