uski aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai

us ki aankhon mein utar jaane ko ji chahta hai
sham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai

kisi kam-zarf ko ba-zarf agar kahna pade
aise jine se to mar jaane ko ji chahta hai

ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin
apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai

qarz tute hue khwabon ka ada ho jae
zat mein apni bikhar jaane ko ji chahta hai

apni palkon pe sajae hue yaadon ke diye
us ki nindon se guzar jaane ko ji chahta hai

ek ujde hue viran khandar mein 'azar'
na-munasib hai magar jaane ko ji chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close