usko hai ishq batana bhi nahin chahta hai

us ko hai ishq batana bhi nahin chahta hai
aur ye baat chhupana bhi nahin chahta hai

sochta rahta hai din-bhar ki meri raat mein aae
apne din ko ye jatana bhi nahin chahta hai

shairi ko mera izhaar samajhta hai magar
parda-e-sher uthana bhi nahin chahta hai

sae ko justuju-e-jism bahut hai phir bhi
pahlu-e-jism mein aana bhi nahin chahta hai

aisa lagta hai ki wo pa bhi chuka hai mujh ko
jo ba-zahir mujhe pana bhi nahin chahta hai

farhat-ehsas ko hai sari haqiqat malum
mahfil-e-wahm se jaana bhi nahin chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close