uth ke kapde badal ghar se bahar nikal jo hua so hua raat ke baad din aaj ke baad kal jo hua so hua jab talak sans hai bhuk hai pyas hai ye hi itihas hai rakh ke kandhe pe hal khet ki or chal jo hua so hua khun se tar-ba-tar kar ke har rahguzar thak chuke jaanwar lakdiyon ki tarah phir se chulhe mein jal jo hua so hua jo mara kyun mara jo luta kyun luta jo jala kyun jala muddaton se hain gham in sawalon ke hal jo hua so hua mandiron mein bhajan masjidon mein azan aadmi hai kahan aadmi ke liye ek taza ghazal jo hua so hua