uzr unki zaban se nikla

uzr un ki zaban se nikla
tir goya kaman se nikla

wo chhalawa is aan se nikla
al-aman har zaban se nikla

khar-e-hasrat bayan se nikla
dil ka kanta zaban se nikla

fitna-gar kya makan se nikla
aasman aasman se nikla

aa gaya ghash nigah dekhte hi
muddaa kab zaban se nikla

kha gae the wafa ka dhoka hum
jhut sach imtihan se nikla

dil mein rahne na dun tera shikwa
dil mein aaya zaban se nikla

wahm aate hain dekhiye kya ho
wo akela makan se nikla

tum baraste rahe sar-e-mahfil
kuchh bhi meri zaban se nikla

sach to ye hai moamla dil ka
bahar apne guman se nikla

us ko aayat hadis kya samjhen
jo tumhaari zaban se nikla

pad gaya jo zaban se teri harf
phir na apne makan se nikla

dekh kar ru-e-yar salle-ala
be-tahasha zaban se nikla

lo qayamat ab aai wo kafir
ban-bana kar makan se nikla

mar gae hum magar tera arman
dil se nikla na jaan se nikla

rah-raw-e-rah-e-ishq the lakhon
aage main karwan se nikla

samjho patthar ki tum lakir use
jo hamari zaban se nikla

bazm se tum ko le ke jaenge
kaam kab phul-pan se nikla

kya murawwat hai nawak-e-dil-doz
pahle hargiz na jaan se nikla

tere diwanon ka bhi lashkar aaj
kis tajammul se shan se nikla

mud ke dekha to main ne kab dekha
dur jab pasban se nikla

wo hile lab tumhaare wade par
wo tumhaari zaban se nikla

us ki banki ada ne jab mara
dam mera aan tan se nikla

mere aansu ki us ne ki tarif
khub moti ye kan se nikla

hum khade tum se baaten karte the
ghair kyun darmiyan se nikla

zikr ahl-e-wafa ka jab aaya
'dagh' un ki zaban se nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close