wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya

wafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya
hue hain apne hi dil se magar hum bad-guman kya kya

par-e-parwaz nila aasman manzil sitaron ki
kate shahpar to yaad aane lagin jaulaniyan kya kya

ye apna dil jo ab aaseb-e-khamoshi ka maskan hai
kabhi guzre the is suni dagar se karwan kya kya

sukut-e-nim-shab ki aahaten aur raat ka jadu
ye manzar sath le aaya teri dildariyan kya kya

jahan ahl-e-nazar ahl-e-hunar ki hukmarani thi
wahan minqar-e-zer-e-par hain baithe nukta-dan kya kya

ab apne ghar ka bhi ahwal lab par la nahin sakte
kiya karte the hum ahwal-e-alam ka bayan kya kya

ajab tira-shabi se ab rah-o-rasm-e-junun thahri
hue nisyan ke parde mein mah-o-anjum nihan kya kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close