wahi gesuon ki uDan hai wahi aarizon ka nikhaar hai

wahi gesuon ki udan hai wahi aarizon ka nikhaar hai
ye kisi ki shan-e-warud hai ki meri nazar ka waqar hai

teri khud-pasand nawazishen mera ji lubha ke guzar gain
magar uf ye dida-e-mutmain jo gada-e-rah-guzar hai

abhi konpalon mein wo ras kahan jo gulon ka rup badal sake
abhi gul-farosh ke hath se hamein ehtiyaj-e-bahaar hai

meri sadgi ke khulus ne tujhe bakhsh di wo barahnagi
jo nafas nafas ki hai tishnagi jo nazar nazar ki pukar hai

yahi dil-fareb tajalliyan mujhe do-jahan se aziz hun
magar ai jamal-e-sahar-numa mera ghar jo tira-o-tar hai

gham-e-zat se meri zindagi gham-e-kaenat mein dhal gai
kisi bazm-e-naz mein kho ke bhi mujhe kaenat se pyar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close