wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani

wahi hadson ke qisse wahi maut ki kahani
abhi dastaras se bahar hai shuur-e-zindagani

jo mita ke apni hasti bana gham-gusar-e-sahra
use ras kaise aati tere dar ki pasbani

wahi shakhs la-ubaali hua munkir-e-haqiqat
jise chilmanon ki sazish se mili thi bad-gumani

na ghubar-e-karwan hai na nishan-e-rah-e-manzil
koi aks-e-mawara ki kare kaise tarjumani

jo faza-e-bahr-o-bar ko kare aur bhi munawwar
karo ai 'wafa' musakhkhar wo shua-e-asmani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close