wahshat mein har ek naqsha ulta nazar aata hai majnun nazar aati hai laila nazar aata hai ai murgh-e-sahar kukdunkun bol kahin jaldi tu bhi shab-e-furqat mein gunga nazar aata hai dadhi ko teri waiz sab dekh ke kahte hain wo qasr-e-taqaddus ka chhajja nazar aata hai baz aae mohabbat se ai ishq khuda-hafiz ulfat mein jise dekho andha nazar aata hai kuchh tujh ko khabar bhi hai dekh aaine mein surat o tirchhi nazar wale bhinga nazar aata hai swaraj ke chakkar mein rahte the jo sargardan un logon ko ab khali charkha nazar aata hai