wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona

wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona
un ki fahrist-e-tabarra mein na shamil hona

fan ka dawa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho
zeb deta nahin fankar ko buzdil hona

madh-e-gul-chin ho jahan maslak-e-murghan-e-chaman
hum ko manzur nahin fakhr-e-anadil hona

apni pahchan hai wo qarya-e-tarik jahan
munsifon ko bhi mayassar nahin aadil hona

mere sheron ne use soch mein dala to sahi
nek hai dil mein bhi razm-e-haq-o-baatil hona

chand nikle to sahi baam pe kuchh shor to ho
kuchh zaruri to nahin hai mah-e-kaamil hona

na siyasat na maishat na ba-nam-e-mazhab
ab gawara nahin paband-e-salasil hona

saneha is se bada aur bhala kya hoga
'khalid' us shokh ke qabze mein mera dil hona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close