wajud ab mera la-fana ho gaya fana ho ke juzw-e-baqa ho gaya muqaddas hai aalam mein zauq-e-fana ki uqda do-alam ka wa ho gaya hua aashkara adam se wajud likha tha jo taqdir ka ho gaya na hum the na hangama-e-kaenat khuli aankh aur khwab sa ho gaya haqiqat hua rafta rafta majaz rasa tale-e-na-rasa ho gaya tera aastana haram ho ki dair musawat-e-shah-o-gada ho gaya na kuchh hosh apna na hai kuchh khabar khuda jaane 'sahir' ko kya ho gaya