wajud-e-ghaib ka irfan TuT jata hai

wajud-e-ghaib ka irfan tut jata hai
sarir-e-khama se wijdan tut jata hai

jo ho sake to karo aam la-ubaali-pan
khudi ke bojh se insan tut jata hai

sunaiye wo latifa har ek jam ke sath
ki ek bund se iman tut jata hai

sajaane lagta hun jab kuchh hasin yaadon ke phul
mere khayal ka gul-dan tut jata hai

to lazmi bhi nahin tolna samundar ka
agar habab ka mizan tut jata hai

hua jahan bhi tere wahshiyon ka daman chaak
wahin bahaar ka ehsan tut jata hai

ye daur wo hai 'muzaffar' gunah zaid kare
bakar ki zat pe bohtan tut jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close