waqf kar ke zindagi ki saaten tere liye apne sar lin main ne kya kya aafaten tere liye kar liya nazzara-e-husn apni aankhon par haram main ne radd kar din nazar ki dawaten tere liye tere milne ke liye mumkin thin jitni suraten main ne kar dalin wo sari suraten tere liye dushmanon ki phabtiyan aur doston ki lan-tan odh lin duniya ki sari lanten tere liye baith kar teri gali mein baithne walon ke pas khak kar lin apni shakhsi azmaten tere liye apni izzat aap karne ka bhi jin ko haq nahin main ne un logon ki ki hain izzaten tere liye apni khidmat jin se lene main sharafat ko ho aar ki hain un logon ki main ne khidmaten tere liye kal jo meri minnaten karte the apne waste aaj main karta hun un ki minnaten tere liye tere qadmon ke siwa un ki talafi hi nahin main jo bardasht ki hain zillaten tere liye mujh ko jin ki qismaton ne kar rakha tha paemal raund dalin main ne un ki qismaten tere liye jin mazaron par khuda ke manne wale na jaen main ne un par ja ke manin minnaten tere liye kufr sharmata hai jin se jhenpta hai jin se shirk main ne ki hain kaisi kaisi bidaten tere liye aamilon ne farz padhwa din namazen saikdon do ki chaar aur chaar ki do rakaten tere liye rahat-e-darain mein bhi wo khushi mafqud hai jis khushi se main ne jhelin aafaten tere liye jin mein hota tha mere dil par nuzul-e-wahi-e-sher waqf-e-ah-o-nala hain wo saaten tere liye kash tu likkhe ki 'bismil' kuchh khabar bhi hai tujhe kis qadar ghamgin hain meri khalwaten tere liye