waqt ka jhonka jo sab patte uDa kar le gaya

waqt ka jhonka jo sab patte uda kar le gaya
kyun na mujh ko bhi tere dar se utha kar le gaya

raat apne chahne walon pe tha wo mehrban
main na jata tha magar wo mujh ko aa kar le gaya

ek sail-e-be-aman jo aasiyon ko tha saza
nek logon ke gharon ko bhi baha kar le gaya

main ne darwaza na rakkha tha ki darta tha magar
ghar ka sarmaya wo diwaren gira kar le gaya

wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se utha kar le gaya

main jise barson ki chahat se na hasil kar saka
ek ham-saya use kal warghala kar le gaya

saj rahi thi jins jo bazar mein ek umr se
kal use ek shakhs pardon mein chhupa kar le gaya

main khada footpath par karta raha rickshaw talash
mera dushman us ko motor mein bitha kar le gaya

so raha hun mein liye khali lifafa hath mein
us mein jo mazmun tha wo qasid chura kar le gaya

raqs ke waqfe mein jab karne ko tha main arz-e-shauq
koi us ko mere pahlu se utha kar le gaya

ai azab-e-dosti mujh ko bata mere siwa
kaun tha jo tujh ko sine se laga kar le gaya

mehrban kaise kahun main 'arsh' us bedard ko
nur aankhon ka jo ek jalwa dikha kar le gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close