waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae

waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae
hum wafa bhul gae aap jafa bhul gae

kis ko samjhaen ye samjhane ki baaten kab hain
wasl kab yaad raha hijr mein kya bhul gae

kya chaman chhoda palat kar nahin dekha us ko
rang-e-gul bu-e-saman baad-e-saba bhul gae

bujh gai sham-e-junun lut gai bazm-e-yaran
ahl-e-dil sozish-e-jaan hoti hai kya bhul gae

aisa viran hua kaba-e-hasti ya-rab
rah gae hath uthe harf-e-dua bhul gae

husn sarshaari-e-andaz-o-ada se guzra
aur sab ahl-e-wafa rasm-e-wafa bhul gae

kam-ayari ne khuda-soz banaya aisa
but to sab yaad rahe ek khuda bhul gae

kaun soche bhala kyun dil nahin paband-e-namaz
jab sar-e-sham azanon ki sada bhul gae

shahr jaanan mein nahin puchhne wala koi
kaun ho aae ho kyun tum yahan kya bhul gae

khub! 'sarwar' tumhein ummid-e-karam yaad rahi
kya sitam hai ki gunahon ki saza bhul gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close