waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai

waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai
kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai

dil ho pazhmurda to hai khanda-e-gul be-mani
har khushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai

chaak karti hai saba subh ko ghunchon ke jigar
ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai

ghunche ghunche mein hai poshida salib-e-gham-e-dost
kis ne phulon mein ye qatil ki ada rakkhi hai

kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya
kis ke jalwon ne ye diwani bana rakkhi hai

zindagi ho gai kis tarah tu itni sasti
kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai

ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan
waqt ne mujh se wahi baat chhupa rakkhi hai

hum ne har mod pe chahat ke jalae hain charagh
hum ne har gam pe ulfat ki bina rakkhi hai

tafraqon ka nahin aapas mein kahin koi jawaz
sab ne auham ki diwar utha rakkhi hai

dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar
ishq ne dard ke andar hi dawa rakkhi hai

waqt le aaya hai khud had mein use der sawer
jis ne bhi qad se siwa apni ana rakkhi hai

us sitamgar ka mein ai 'raaz' karun kya shikwa
har bala mere liye jis ne rawa rakkhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close