waqt sakin hai main guzar raha hun

waqt sakin hai main guzar raha hun
main to is aagahi se mar raha hun

bol kar jo mujhe daba raha hai
us ki aawaz se ubhar raha hun

aaina mujh ko dekh kar chup hai
jaane main kis se baat kar raha hun

main ye samjha tha wo thahar raha hai
we ye samjha tha main thahar raha hun

ek parinda banaya kaghaz par
aur ab us ke par katar raha hun

us ne wada nahin liya mujh se
aur kahta hai main mukar raha hun

teri taswir na-mukammal hai
main abhi is mein rang bhar raha hun

jo tujhe jaanta nahin 'momin'
wo samajhta hai tujh se dar raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close