wasl mein zikr ghair ka na karo

wasl mein zikr ghair ka na karo
khush kiya hai to phir khafa na karo

zulfon par mujh ko shefta na karo
in balaon mein mubtala na karo

meri itni to baat mano bhala
baat aghyar se kiya na karo

milne dunga na ghair se tum ko
karo mujh se milap ya na karo

mar bhi jaun kahin ye rog mite
ai tabibon meri dawa na karo

munh chhupana hi hai agar manzur
mere aankhon-tale phira na karo

ai gul in dinon rooge
khilkhila kar bahut hansa na karo

bosa lene do kuchh to ho taqsir
hadaf-e-tir be-khata na karo

jaan sadqe karun jo qadr karo
dil tumhein dun agar dagha na karo

kabhi fariyaadtan suno meri
kaun kahta hai tum jafa na karo

ghair par kyun nigah karte ho
mujh ko is tir ka nishana karo

do-ghadi ke liye hum aae hain
talkh baaton se be-maza na karo

ek purze pe likh ke ye do-harf
dosto yar ko rawana karo

jald aao ki dam nikalta hai
mujh ko pito agar bahana karo

'bahr' shakir raho muqaddar par
kas-o-na-kas se iltija na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close