wentilator jism ko naqli sanson se bharta tha

wentilator jism ko naqli sanson se bharta tha
main zinda tha ikhrajat ke bojh tale marta tha

tedhe-medhe aale le ke jism pe tut pade hain
shayad jaan gae hain husn ki main puja karta tha

helicopter dhire dhire uttha zamin tharrai
mere dil ki ye haalat to station karta tha

sadak pe pile pile barrier sab ka rasta roken
lekin main chalne ka rasiya rukne se darta tha

red-light pe nanga bachcha kartab dikhlata tha
roz ka chalne wala rahi roz ash-ash karta tha

cafe-coffee-day mein date pe let hue thode se
hath na aaya jiwan bhar janmon ka dam bharta tha

dharne pe baithne wale pagal pichhdi zat ke the sab
dslr wala bas photo session karta tha

ek taswir mein lahraya nili sadi ka pallu
ek diwana us taswir pe mi-raqsam karta tha

raat ke sath jo baat guzarti sham ko wapas lata
sham dhale se raat gae tak roz yahi karta tha

shakespeare ne jo likkha hai us ki apni qimat
main tha urdu wala 'agha-hashr' ka dam bharta tha

raat ke dil mein jhankte jhankte raat guzarti sari
subh alarm sun leta tha phir bistar karta tha

khud ko natsha-zada kahta par sone se pahle
angrezi mein kursi padh kar khud par dam karta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close