wo aaghaz-e-mohabbat ka zamana zara si baat banti thi fasana qafas ko kyun samajh lun aashiyana abhi to karwaten lega zamana ye kah kar sabr karte hain sitam par hamara bhi kabhi hoga zamana qafas se bhi nikala ja raha hun kahan le jae dekho aab-o-dana ghurur itna na kar tir-e-sitam par ki aksar chuk jata hai nishana agar bijli ka dar hoga to un ko bulandi par hai jin ka aashiyana kahani dard-e-dil ki sun ke puchha 'qamar' sach kah ye kis ka hai fasana