wo aai sham-e-gham waqf-e-bala hone ka waqt aaya tadapne lotne ka dam fana hone ka waqt aaya unhen apni jafaon par pashemani hui aakhir sharik-e-matam-e-ahl-e-wafa hone ka waqt aaya udasi har sahar kahti hai mujh se bazm-e-anjum ki uth ai gham-dida uth mahw-e-buka hone ka waqt aaya tera milna kise milta hai mamnun-e-muqaddar hun magar afsos milte hi juda hone ka waqt aaya bahaar aai har ek zarre se phuti husn ki duniya fareb-e-ma-siwa ke haq-numa hone ka waqt aaya qayamat-khez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nalan tere nalon se phir mahshar bapa hone ka waqt aaya meri tuti hui kashti thapede mauj-e-tufan ke khuda-e-pak tere nakhuda hone ka waqt aaya jawani ja chuki 'mahrum' zauq-e-arzu kaisa tumhaare be-niyaz-e-muddaa hone ka waqt aaya