wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai nahin hai rabt magar rabta zara sa hai ye kufiyon ki kahani hai mere dost magar yahan pe aap ka bhi tazkira zara sa hai ab us ko katne mein jaane kitni umr lage hamare darmiyan jo fasla zara sa hai nigah ek sadak hai aur us ki manzil-e-dil idhar se jawe to ye rasta zara sa hai tujhe laga ki tu kar lega sabr mere baghair tu kar ke dekh hi le tajraba zara sa hai idhar 'kabir' bagule hawa ke tund-o-tez aur is taraf ye akela diya zara sa hai