wo ab numaish-e-sair-o-safar se bahar hai

wo ab numaish-e-sair-o-safar se bahar hai
ye mere sath magar rahguzar se bahar hai

wahi muqim hai jo apne ghar se bahar hai
ki jitna saya hai sara shajar se bahar hai

mere khuda ye tab-o-tab-e-safha kaisi hai
jo likh raha hun wo kilk-e-hunar se bahar hai

zamir-e-khak ko ab zahar hi likho yani
ilaj us ka kaf-e-chaara-gar se bahar hai

chalo namaz padhen aur qarib le aaen
shajar dua ka hamari sahar se bahar hai

asir hai meri khinchi hui lakiron ka
ye wahm hai ki wo mere asar se bahar hai

ye ijz hai ki qanaat hai kuchh nahin khulta
bahut dinon se wo khair-o-khabar se bahar hai

na jaane kya hai kisi chaak par thaharti nahin
hamari khak gil-e-kuza-gar se bahar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close