wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha

wo bhi kya din the ki jab us ka mera yarana tha
aap se begana wo tha khud se main begana tha

rabt-o-zabt-e-bahami ke hae wo raaz-o-niyaz
aashiqana husn tha aur ishq mashuqana tha

main agar gul tha to wo tha bulbul-e-shaida mera
aur agar wo shama tha to is ka main parwana tha

wo kabhi diwana tha mere liye laila kabhi
main kabhi us ke liye laila kabhi diwana tha

us ko tha didar hasil mujh ko nazzara nasib
mere us ke darmiyan ek jalwa-e-jaanana tha

mere kufr-e-ishq mein thi ek imani ada
us ke kafir husn mein ek ishwa-e-turkana tha

sajid-o-masjud hum baham the hum donon ka dil
kabe ka kaba tha aur but-khane ka but-khana tha

mere ashk-e-shauq-e-paiham mein thi us ki dastan
us ke andaz-e-tabassum mein mera afsana tha

jhum bhi utthi udhar kaif-e-tarb se ruh-e-naz
aur idhar honton hi par mere abhi paimana tha

hae wo shahba-e-zulf-o-kakul-o-gesu ki jab
aaftab-e-subh bhi ek sham-e-ishrat-khana tha

shamil-e-anfas the naghmat-e-aish-o-imbisat
zindagi ke saz ka har zer-o-bam shahana tha

aankh se dil mein sama jate the dil se ruh mein
zindagi-e-shauq ka har haal betabana tha

hae wo mai-khwari-e-baham ka aalam aah jab
ehtimam-e-mai baghair-e-shisha-o-paimana tha

jab milin aankhon se aankhen jab mile honton se hont
har nazar paimana thi aur har-nafas mai-khana tha

uf wo rabt-o-zabt sharm-o-shauq jab ba-hamd-digar
ek jazba mushtarak tha aur bebakana tha

wo taqaddum sharm ka ho ya tajawuz shauq ka
dakhil-e-mustasniyat-e-laghzish-e-mastana tha

uf wo fart-e-shauq jis ka nam tha ranjidagi
aalam-e-ranjidagi kis darja mahbubana tha

barhami par hae wo jurmana-ha-e-jurm-e-shauq
wajh-e-afzuni-e-shauq-e-jurm har jurmana tha

ho rahe the yun basar roz-o-shab umr-e-nashat
mehr-o-mah se ehtimam-e-zinat-e-kashana tha

be-talluq zindagi hone ka tha imkan hi kya
zindagi zulf-e-talluq thi muqaddar shana tha

runuma lekin muqaddar se hua wo ishq ke
jo talawwun husn ki fitrat mein mahbubana tha

husn to hai ek tajalli sham-e-har-mahfil-sifat
wo to kah dega ye ek andaz-e-mashuqana tha

han magar kal ishq ko dekha ki wo shorida-bakht
badh chuka tha zindagi mein maut se diwana tha

ja raha tha be-irada be-khayal-e-samt-o-rah
aur zaban par nala-e-mauzun ye mazlumana tha

chashm hai mahrum-e-surat gosh mayus-e-sada
khwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close