wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile

wo dil mein aur qarib-e-rag-e-gulu bhi mile
zara sa lutf magar hum se ru-ba-ru bhi mile

jo koi waqif-e-adab-e-rang-o-bu bhi mile
to ashk-e-khun mein bu-e-zakhm-e-arzu bhi mile

hazar zakhm ko kya be-shumar zakhm lage
usi ke sath magar fursat-e-rafu bhi mile

ye but-kada na sahi phir bhi mai-kada to nahin
yahan to hum ko kai rind be-wuzu bhi mile

hamein to aarzu-e-izn-e-haziri hai bahut
zahe-nasib agar izn-e-guftugu bhi mile

wo is ko kaise khamoshi qarar de aakhir
mere sukut mein jab jurm-e-guftugu bhi mile

mile jahan bhi payam-e-hayat-e-nau mujh ko
maza to jab hai wahin mere yar tu bhi mile

wo ek aap hi apni misal hai 'akhgar'
aur aap jaise kai us ko hu-ba-hu bhi mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close