wo ek raat ki gardish mein itna haar gaya libas pahne raha aur badan utar gaya hasab-nasab bhi kirae pe log lane lage hamare hath se ab ye bhi karobar gaya use qarib se dekha to kuchh shifa pai kai baras mein mere jism se bukhar gaya tumhaari jit ka matlab hai jang phir hogi hamari haar ka matlab hai intishaar gaya tu ek sal mein ek sans bhi na ji paya main ek sajde mein sadiyan kai guzar gaya