wo ek wajud zamin par bhi aasman ki tarah mere hudud se bahar hai la-makan ki tarah wo ek khayal koi bahr-e-be-karan jaise meri nazar kisi bosida baadban ki tarah azal se sar pe khadi dopahar ka manzar hai so ab ye dhup bhi lagti hai saeban ki tarah main harf harf use hi sametna chahun magar wo phailta jata hai dastan ki tarah mere badan mein koi shai yugon yugon se 'qamar' bikhar rahi hai kisi reg-e-raegan ki tarah