wo jin ki lau se hazaron charagh jalte the charagh baad-e-fana ne bujhae hain kya kya na tab-e-did na be-dekhe chain hi aae hamare haal pe wo muskurae hain kya kya raza o sabr o qanaat tawazo o taslim falak ne hum ko khasail sikhae hain kya kya laraz gaya hai jahan dast-e-katib-e-taqdir hamari zist mein lamhat aae hain kya kya naqab uthao to qissa hi khatm ho jae tumhaare parda ne fitne uthae hain kya kya zamana halka sa khaka na le saka jin ka nuqush dast-e-qaza ne mitae hain kya kya ye panj-shil ye jamhuriyat ye ray-e-awam ye ahl-e-zar ne khilaune banae hain kya kya bala-e-jaan hui 'wasif' ki be-gunahi bhi zara si baat mein ilzam aae hain kya kya