wo jo diwar-e-ashnai thi

wo jo diwar-e-ashnai thi
apni hi zat ki ikai thi

main sar-e-dasht-e-jaan tha aawara
aur ghar mein bahaar aai thi

maile kapdon ka apna rang bhi tha
phir bhi qismat mein jag-hansai thi

ab to aankhon mein apna chehra hai
kabhi shishe se aashnai thi

apni hi zat mein tha main mahfuz
aur phir khud hi se ladai thi

apni aawaz se bhi darta tha
hae kya chiz aashnai thi

zindagi gard gard thi 'akhtar'
jaane lut kar kahan se aai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close