wo jo milta tha kabhi mujh se bahaaron ki tarah aaj chubhta hai nigahon mein wo kharon ki tarah wo bhi kya shakhs hai jo qasr-e-tasawwur mein mujhe roz aarasta karta hai mazaron ki tarah dubne hi nahin deta kabhi kashti meri ab bhi wo samne rahta hai kinaron ki tarah lakh mahtab meri zist mein aae lekin darmiyan tujh ko bhi dekha hai sitaron ki tarah us ki aankhon ne ajab sehr kiya hai hum par raat-bhar phirte rahe baada-gusaron ki tarah aap ki aankhon se kuchh aur pata chalta hai aap dekha na karen hum ko nazaron ki tarah kis ko malum chhupae hai wo khanjar kitne wo jo zahir mein mila karta hai yaron ki tarah us ke chehre pe to narmi hai halawat hai bahut 'shama' lahja hai magar us ka shararon ki tarah