wo kabhi shaKH-e-gul-e-tar ki tarah lagta hai

wo kabhi shakh-e-gul-e-tar ki tarah lagta hai
aur kabhi dashna-o-khanjar ki tarah lagta hai

le ke aaya hun main kuchh khwab un aankhon ke liye
aaina bhi jinhen patthar ki tarah lagta hai

hadse aise bhi guzre ki tasawwur jin ka
dil ko chhu jae to thokar ki tarah lagta hai

halchalen daera-e-jaan mein chhupi rahti hain
jis se miliye wo samundar ki tarah lagta hai

kaisa mausam hai ki chubhti hain badan mein kirnen
sar pe suraj kisi khanjar ki tarah lagta hai

aadmi shiddat-e-ehsas ka mara ho agar
barg-e-gul bhi use patthar ki tarah lagta hai

dasht-e-be-ab mein jalte hue honton ko 'bashir'
ek qatra bhi samundar ki tarah lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close