wo mizaj dil ke badal gae ki wo karobar nahin raha

wo mizaj dil ke badal gae ki wo karobar nahin raha
meri jaan tere firaq mein koi sogwar nahin raha

teri aarzu kahin kho gai meri justuju-e-fuzul mein
mujhe ain waqt visal mein tera intizar nahin raha

na khirad rahi na junun bacha dil-e-pur-ghurur ye kya hua
tujhe apne aap pe khud bhi ab zara e'tibar nahin hai

dam-e-awwalin ke wo silsile wo tamam kar-e-jahan mere
rahe na-tamam ki rah mein dam-e-mustaar nahin raha

teri bazm jo ye saji nai yahan sara husn hai ajnabi
koi chashm ab nahin surmagin koi gul-ezar nahin raha

yahan mabadon ke hujum mein na bacha hai koi bhi mai-kada
kise shahr mein kahen ham-nawa koi baada-khwar nahin raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close