wo pas kya zara sa muskura ke baiTh gaya

wo pas kya zara sa muskura ke baith gaya
main is mazaq ko dil se laga ke baith gaya

jab us ki bazm mein dar-o-rasan ki baat chali
main jhat se uth gaya aur aage aa ke baith gaya

darakht kat ke jab thak gaya lakad-haara
to ek darakht ke sae mein ja ke baith gaya

tumhaare dar se main kab uthna chahta tha magar
ye mera dil hai ki mujh ko utha ke baith gaya

jo mere waste kursi lagaya karta tha
wo meri kursi se kursi laga ke baith gaya

phir us ke baad kai log uth ke jaane lage
main uth ke jaane ka nuskha bata ke baith gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close