wo rang-e-tamanna hai ki sad-rang hua hun dekho to nazar hun jo na dekho to sada hun ya itna subuk tha ki hawa le udi mujh ko ya itna giran hun ki sar-e-rah pada hun chehre pe ujala tha gareban mein sahar thi wo shakhs ajab tha jise raste mein mila hun kab dhup chali sham dhali kis ko khabar hai ek umr se main apne hi sae mein khada hun jab aandhiyan aai hain to main nikla na ghar se patton ke taaqub mein magar daud pada hun