wo ranjishen wo marasim ka silsila hi nahin yahan kisi mein wo pahla sa rabta hi nahin main khushbuon ke taaqub mein aa gaya hun wahan jahan se laut ke jaane ka rasta hi nahin ye khud-sari ya shararat usi ka hissa hai wo koi khel mohabbat mein haarta hi nahin ye e'tiraf bhi ghabra ke kar liya main ne main chahta hun tujhe sirf sochta hi nahin uda ke le gaya raaton ki nind aankhon se wo kam-sukhan jo kabhi mujh se bolta hi nahin pukarta hun main us ko usi ki chaukhat se kiwad jism ke jo mujh pe kholta hi nahin tabah ho gae khuddariyon mein donon 'rais' wo khud ko saunp de lekin main mangta hi nahin