wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata

wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata
kabhi andhere-ujale nazar nahin aata

ye kah do kucha-e-jaanan ke jaane walon se
udhar jo koi gaya phir idhar nahin aata

tilai-rang ye kya kya chale hain talwaren
kisi ke qabze mein wo kunj-e-zar nahin aata

wo na-tawan hun ki sunta nahin koi meri
wo zar hun ki kisi ko nazar nahin aata

meri taraf se ye ghaflat hai ham-safiron ko
chaman se ud ke kabhi ek par nahin aata

nahin nasib mein apni jo daulat-e-bedar
to khwab mein bhi mera swayamwar nahin aata

azab-e-naza hi qasid ka intizar mujhe
ajal hi aae agar nama-bar nahin aata

wo kaun log hain jin par huma hai saya-fagan
yahan to bum bhi baala-e-sar nahin aata

yahan wasila-e-rozi faqat hai yaad-e-khuda
ki hech-kara hain koi hunar nahin aata

bashar ko chahne anjam-e-kar ki kuchh fikr
jahan mein koi bar-e-digar nahin aata

sanam ko hath se jaane na dijiye ai 'bahr'
nikal ke musht-e-sadaf se guhar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close