wo ruThta hai kabhi dil dukha bhi deta hai

wo ruthta hai kabhi dil dukha bhi deta hai
main gir padun to mujhe hausla bhi deta hai

wo meri rah mein patthar ki tarah rahta hai
wo meri rah se patthar hata bhi deta hai

bahut khulus jhalakta hai tanz mein us ke
wo mujh pe tanz ke nashtar chala bhi deta hai

main khud ko bhul na jaun bhatak na jaun kahin
wo mujh ko aaina la kar dikha bhi deta hai

use aziz hain ghazlen meri mere ashaar
wo mere sher mujhi ko suna bhi deta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close