wo sardi se thethurta hai na garmi hi satati hai ye mausam haar jate hain gharibi jit jati hai mere rahbar hata chashma tujhe manzar dikhata hun ye toli bhuke bachchon ki ghazab thaali bajati hai mere rab chand punam ka zara chauras hi kar de tu golai dekhta hun main to roti yaad aati hai ye manzar dekhta hun main to aankhen dub jati hain wo nannhi god si gudiya kisi ka bojh uthati hai