yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga

yaad rakhna ek din teri zaban tak aaunga
khamushi ki qaid se harf-e-bayan tak aaunga

tu yaqin ke aaine mein dekhna chahega aur
main faqat khush-fahmi-e-hadd-e-guman tak aaunga

chhu ke tere zehn ke khamosh taron ko kabhi
le ke ek tufan tere dil ke makan tak aaunga

phir tere ehsas ke shoalon mein dhal jaegi raat
main ubhar kar jis ghadi ashk-e-rawan tak aaunga

dastaras se tir ban kar bhi nikal jaunga phir
jab kabhi main tere abru ki kaman tak aaunga

sard aahon mein simat kar shiddat-e-ehsas se
qalb ki nazuk ragon ke darmiyan tak aaunga

itna mat socho ki ye nazuk ragen phat jaengi
main tumhaare zehn mein aakhir kahan tak aaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close