yahan mazbut se mazbut loha tut jata hai kai jhute ikatthe hon to sachcha tut jata hai na itna shor kar zalim hamare tut jaane par ki gardish mein falak se bhi sitara tut jata hai tasalli dene wale to tasalli dete rahte hain magar wo kya kare jis ka bharosa tut jata hai kisi se ishq karte ho to phir khamosh rahiyega zara si thes se warna ye shisha tut jata hai