yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main

yahi nahin ki faqat teri justuju bhi main
khud apne aap ko pane ki aarzu bhi main

udas udas sar-e-saghar-o-subu bhi main
yam-e-nashat ki ek mauj-e-tund-khu bhi main

mujhi mein gum hain kai tirgi ba-kaf raaten
ziya-farosh sar-e-taq-e-arzu bhi main

mujhi se qaem-o-daem hain ghar ke sannate
tumhaari bazm-e-tamanna ki haw-hu bhi main

nihan mujhi mein hai qatil bhi aur masiha bhi
ki chaak-e-zakhm bhi main sozan-e-rafu bhi main

khud apne aap mein jhankun to main bhi main na rahun
nigah khud se hataun to chaar-su bhi main

jo rah chalte meri samt aankh bhi na uthae
usi ki bazm ka mauzu-e-guftugu bhi main

tumhaari bazm se uthne ka bhi khayal mujhe
zara si der thaharne ka hila-ju bhi main

tilism-e-duri-o-qurbat ko tod kar 'sadiq'
pukarta hai koi aaine se tu bhi main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close