yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujhko

yahi samjha hun bas itni hui hai aagahi mujh ko
na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko

mila ranj-o-alam mein bhi surur-e-zindagi mujh ko
nazar aati hai aksar tirgi mein raushni mujh ko

na ab ehsas-e-ranj-o-gham na ehsas-e-khushi mujh ko
ye kis markaz pe le aai meri diwangi mujh ko

chhalak aae hain aansu jab bhi aai hai hansi mujh ko
sunati hi rahi paigham-e-gham meri khushi mujh ko

na dena tha agar kuchh ikhtiyar-e-zindagi mujh ko
to kyun ai khaliq-e-alam banaya aadmi mujh ko

siyah-bakhti hui hai saya-afgan is qadar mujh par
nazar aati hai har-su tirgi hi tirgi mujh ko

'jalis' ehsan kya kam hai ye meri bad-nasibi ka
tamiz apne parae ki to aakhir ho gai mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close