yakka ulat ke rah gaya ghoda bhadak gaya kali sadak pe chand sa chehra chamak gaya dekha use to aankh se parda sarak gaya shoala sa ek jism ke andar lapak gaya bahar gali mein khil gain kaliyan gulab ki jhonka hawa ka aate hi kamra mahak gaya mujh par nazar padi to wo sharma ke rah gai pahlu se us ke un ka gola ludhak gaya koshish ke bawajud main bahar na aa saka andar ka silsila to bahut dur tak gaya main ne hi us ko qatl kiya tha ye sach hai par sach sach bataun mera bhi ek ek pe shak gaya 'alwi' ne aaj din mein kahani sunai thi shayad isi wajah se main rasta bhatak gaya