yaqin banata hai koi guman banata hai jo aadmi hai alag dastan banata hai shikast karta hai zanjir-e-khana-o-mehrab aur ek halqa-e-awargan banata hai gil-e-wajud se karta hai kasb-e-kuza-e-jaan khumar-e-sud mein lekin ziyan banata hai kamal be-khabari hai agar baham ho jae magar ye zist ko aasan kahan banata hai pas-e-charagh irada koi to hai 'azar' jo mere shoala-e-dil ko dhuan banata hai